Saturday 14 April 2012

Main Fauji hoon

AAj bhi jab barrack main beth kr khana khata hoo tou apni maa ki haath k parathai yaad atai hain

Jab bhi thuk jata hooo tou wallet main mojood beti ki tasweer nikaal kr dekhta hoo

Aaj bhi raat bhar jaagta hoo, jis pr kabhi meri abba mujhai daant'tai thai

Aaj bhi jab zakhm lagta hai tou khushi hoti hai k Mere dais ki maon or behno k dupattai un k saro pr salamat hain

Mujhai bura kehnai walai yai nahi jaantai k mere jism pr kitne zakham hain , or naa main unn ka hisaab mangta hoo

Kiun k
MAIN AIK FAUJI HOO MERI NAZAR SIRF PERCHAM K SAAMNEY OR SAR SIRF KHUDA K SAAMNEY JHUKTI HAI..

No comments:

Post a Comment